
Song : Hindustan Kahan Hai
Film : Kaanchi (2014)
Singer : Sukhwinder Singh, Mohit Chauhan, Raj Pandit
Music : Ismail Darbar
Lyricist : Irshad Kamil
Hindustan Kahan Hai Lyrics
Jai hey...
Jai jai jai
Jai hey...
Jai hey...
Itna bada jahaan hai
Chalo dhoondh laayein usko
[Jai hey]
Itna bada jahaan hai
Chalo dhoondh laayein usko
Saare jahaan se achcha
Woh Hindustan kahan hai [Jai hey]
Itna bada jahaan hai
Chalo dhoondh laayein usko
Saare jahaan se achcha
Woh Hindustan kahan hai [Jai hey...]
Jai hey... [Jai hey]
Aazad hoke pehle aaya to tha idhar hi
Raaste mein kho gaya ya woh gaya bikhar hi
[Jai hey] Jai hey...
Aazad hoke pehle aaya to tha idhar hi
Raaste mein kho gaya ya woh gaya bikhar hi
Pehle kahaan daya thi [daya thi]
Pehle kahaan dharam tha [dharam tha]
Sunte thhe woh wahaan hai [Jai hey]
Itna bada jahaan hai
Chalo dhoondh laayein usko
Saare jahaan se achcha
Woh Hindustan kahaan hai [Jai hey]
Jai hey... Jai hey... [Jai hey]
Koi geet bhi tha uska mujhe yaad aa raha hai
Bina jaane jiska matlab har neta gaa raha hai
[Jai hey]
Unhein keh do.. gaayenge hum [gaayenge hum]
[Jai hey]
Hamein geet woh hai aata
Hamein geet woh hai aata
Jab Jan Gan Man, Jan Gan Man
Jab Jan Gan banega naayak..
Khud apna bhagya vidhata [Jai hey]
Punjab, Sindh, Gujarat, Maratha.. [Jai hey]
Mein Sindh ki kami kaheen hai
Punjab, Sindh, Gujarat, Maratha
Mein Sindh ki kami kaheen hai
Aazadi ke samay se yun to
Uski bhi la yahin kahin hai [[Jai hey]]
Itna bada jahaan hai
Chalo dhoondh laayein usko
Itna bada jahaan hai
Chalo dhoondh laayein usko
Saare jahaan se achcha
Woh Hindustan kahan hai [Jai hey, Jai hey]
Itna bada jahaan hai
Chalo dhoondh laayein usko
Saare jahaan se achcha
Woh Hindustan kahan hai Jai hey
[Jai hey, Jai hey]
Saare jahaan se achcha [Jai hey]
Hindustan kahaan hai
Saare jahaan se achcha
Hindustan kahan hai
0 comments:
Post a Comment
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.