(Shweta Pandit Begins)
Dil beqasoor hai kitna par hai yeh jaroor hai fitna
Jane yeh jalna seekhe na bujhna,
Meethi si zidd hai sajna
Zidd ki hadd hai sajna
Dil beqasoor hai kitna par hai yeh jaroor hai fitna
Jane yeh jalna seekhe na bujhna,
Meethi si zidd hai sajna
Zidd ki hadd hai sajna
Kyun dil bezubaan hai itna, uspe hai gumaan bhi utna
(Nakash Aziz Begins)
(Yeh bekhudi juda juda, deewangi mila mila
Jahan base haan wahin tera kyun)
Jaane yeh katna, seekhe na judna
Meethi si zidd hai sajna
Zidd ki hadd hai sajna
Zidd ki hadd hai sajna
(Instrumental Break)
Gulmohar ki tehni se bichda sa
Patchad ki sohabat mein zameen pe bikhra sa
Hai manmuaji, sholon ke dariya mein
Shabnam si bundoon ki umeed mein utra sa
Jitna batore, utna hi khoye
Unta bikhere, jitna piroye ..
Dil belagaam hai jitna, apna khud hi gulaam hai utna
(Yeh bekhudi juda juda, deewangi mila mila
Jahan base haan wahin tera kyun)
Jaane yeh marna seekhe na darna
Meethi si zidd hai sajna
Zidd ki hadd hai sajna
Zidd ki hadd hai sajna
0 comments:
Post a Comment