a
Monday, 9 June 2014

Zaroori Tha Lyrics ( Rahat Fateh Ali Khan)

Zaroori Tha Lyrics ( Rahat Fateh Ali Khan)


Lafj kitne hi tere pairon se lipte honge

Tune jab aakhiri khat mera jalayaa.. hoga

Tune jab phool kitaabon se nikale honge

Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga


(Vocals Break)


(Instrumental Break)


Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha

Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ke hum dono tabah pe arzoo karte

Magar phir arzoo-on ka bikharna bhi zaroori tha

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha


(Instrumental Break)


Batao yaad hai tumko woh jab dil ko churaya tha

Churayi cheez ko tumne khuda ka ghar banaya tha

Woh jab kehte the mera naam tum tasveer mein padhte ho

Mohabbat ki na maano toh daga karne se darte ho

Magar ab yaad aata hai woh baatein thi mehez baatein

Kahin baaton hi baaton mein mukarna bhi zaroori tha

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha


(Vocals Break)


(Instrumental Break)


Wahin hai sooratein apni, wahin main hoon wahin tum ho

Magar khoya huya hoon main, magar tum bhi kahin gum ho

Mohabbat mein daga ki thi jo kaafir the so kaafir hain

Mili hai manzilein phir bhi musaafir the, musaafir hain

Tere dil ke nikaale hum kahaan bhatke, kahaan pahunche

Magar bhatke toh yaad aaya ki bhatakna bhi zaroori thi

Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ke hum dono tabah pe arzoo karte

Magar phir arzoo-on ka bikharna bhi zaroori tha

Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha


Lyricstaal -


Share this Lyrics
  • Share to Facebook
  • Share to Twitter
  • Share to Google+
  • Share to Stumble Upon
  • Share to Evernote
  • Share to Blogger
  • Share to Email
  • Share to Yahoo Messenger
  • More...

0 comments:

Post a Comment

 
Back To Top