a
Saturday, 20 December 2014

Papa Lyrics – Shilpa Rao

Papa Lyrics – Shilpa Rao


(Shilpa Rao Begins)


Kya wahaan din hai abhi bhi,

Papa tum rehte jahaan ho

Aus ban ke main giroongi,

Dekhna tum aasmaan ho

Tin ke toote kanastar,

Se zara boondi churaakar,

Bhaagti hai koyi ladki,

Kya tumhe ab bhi chidhakar

Farsh ab bhi thaam ungli,

Saath chalta hai kyun papa

Bhaag ke dekho re aagan,

Bhi machalta hai kya papa


(Vocal & Instrumental Break)


Aag ki bhi chaanw hai kya,

Cheentiyon ke gaon hai kya

Jis kuye mein hum gire hai

Us kuye mein naav hai kya

Kya tumhe kehta hai koyi ke chalo ab khaa bhi lo

Dibbiyon mein dhoop bhar kar

Koyi ghar laata hai kya

Chimniyon ke is dhuyein mein mere do khargosh the

Ve kabhi aawaz de toh koyi sun paata hai kya

Gintiyaan sab laakh mein hai,

Haath lekin raakh mein hai

Chaand ab bhi gol hai kya,

Jashn ab bhi dhol hai kya

Pee rahe hain sharbatein kya

Kya wahaan sab hosh mein hai

Ya ki maathe see rahe hai,

Do minute afsos mein hai


Lyricstaal -


Share this Lyrics
  • Share to Facebook
  • Share to Twitter
  • Share to Google+
  • Share to Stumble Upon
  • Share to Evernote
  • Share to Blogger
  • Share to Email
  • Share to Yahoo Messenger
  • More...

0 comments:

Post a Comment

 
Back To Top