a
Tuesday, 10 March 2015

Khuda Bhi Lyrics – Mohit Chauhan

Khuda Bhi Lyrics – Mohit Chauhan


(Mohit Chauhan Begins)


Khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga

Khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga

Itni anmol cheez, de di kaise sochta hoga

Tu be-misaal hai, teri kya misaal doon

Aasmaan se aayi hai, yahi kehke taal doon

Phir bhi koi jo pooche, kya hai tu kaisi hai

Haathon mein rang leke, hawa mein uchhaal doon


Khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga

Itni anmol cheez, de di kaise sochta hoga


(Instrumental Break)


Jo bhi zameen tere paaon tale aaye

Kadmon se chooke woh aasmaan ho jaaye

Tere aage pheeke pheeke, saare shringaar hai

Main toh kya, faristey bhi tujhpe nisaar hai

Garmi ki shaam hai tu, jaado’n ki dhoop hai

Jitne bhi mausam hai tere karz-daar hai


Khuda bhi jab tere, andaaz dekhta hoga

Itni anmol cheez, de di kaise sochta hoga


(Instrumental Break)


Chehra hai ya hai jaadu

Roop hai ya khwaab hai

Aankhein hai ya afsaana

Jism ya kitaab hai


Aaja tujhe main padh loon

Dil mein utaar loon

Honton se dekhun tujhe

Aankhon se pukaar loon

Khwahishein ye kehti hai

Kehti rehti hai

Leke tujhe baahon mein shaamein guzaar loon


Khuda bhi tujhe din raat dhundta hoga

Itni anmol cheez, de di kaise sochta hoga


Lyricstaal -


Share this Lyrics
  • Share to Facebook
  • Share to Twitter
  • Share to Google+
  • Share to Stumble Upon
  • Share to Evernote
  • Share to Blogger
  • Share to Email
  • Share to Yahoo Messenger
  • More...

0 comments:

Post a Comment

 
Back To Top