Mohabbat Yeh Ho Jaaye Toh Lyrics
Mohabbat Yeh Ho Jaaye Toh Lyrics – Bilal Saeed
(Bilal Saeed Begins)
Aankh hai abhi namm zara si
Zindagi dhoonde wajah si re
Ehsaas wo phir tera gham bhar de
Jab mujhe tu tanha sa kar de re
Mere lafz tu hi, jaan bhi
Mera ishq pe, imaan bhi
Sajde kare, insaan hi
Dikhe tujh mein phir, jahan bhi
Jitna bhulaaye, utna rulaaye
Huye tum, paraaye jo
Ab jo bhi chaahe, jitna bhi chaahe
Phir bhi rulaaye woh
Mohabbat ye, ho jaaye toh
Mohabbat ye, ho jaaye toh
Mohabbat ye, ho jaaye toh
Mohabbat ye, ho jaaye toh
Aansuon ko mile na koi wajah khushi
Dard hai ke ye dil se jaata hi nahi
Aake thehra hai mere seene mein
Tera gham iss tarah
Phool sehra mein koi khilta hai
Sawan ka jis tarah
Lagte hai saare apne paraaye
Dil chott khaaye toh
Ab jo bhi chaahe, jitna bhi chaahe
Phir bhi rulaaye woh
Mohabbat ye, ho jaaye toh
Mohabbat ye, ho jaaye toh
Mohabbat ye, ho jaaye toh
Mohabbat ye, ho jaaye toh
(Instrumental Break)
Lamha lamha huya hai,
Mujhse yun ajnabi
Jaise ki zindagi mein
Zindagi hi nahi
Namm hai ye aankh, gum hai alfaaz
Khamosh hai zubaan
Chhod aaya, main dhadkano ko
Tha tune chhoda jahaan
Jiske liye ho, sapne sajaaye
Wohi todd jaaye toh
Ab jo bhi chaahe, jitna bhi chaahe
Phir bhi rulaaye woh
Mohabbat ye, ho jaaye toh
Mohabbat ye, ho jaaye toh
Mohabbat ye, ho jaaye toh
Mohabbat ye, ho jaaye toh
0 comments:
Post a Comment
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.