
Song : Khuda Na Khasta
Film : One By Two (2014)
Lyricist : Amitabh Bhattacharya
Music : Shankar Ehsaan Loy
Singer : Arijit Singh
Khuda Na Khasta Lyrics
Tukdon ki ye, tasveer hai
Tukdon me bhi lekin haseen tehreer hai
Kehne ko yun keh lijiye
Tevar bhari se badnuma ye zanjeer hai
Ye zindagi jua hai
Kisko yakin hua hai
Baziyaan na munasib kahi badh jaye na
Ek tarfa safar ke, lab pe yahi dua hai
Kahi na ganvara moad koi mud jaye na
[Khuda na khasta
Khuda na khasta
Kudaya khair kare
Khuda na khasta]
Ek hath me sau hath hai
Aur dusre me ranjishen hain, jazbat hain
Na jaane kyon iske liye
Kohram me kuch itmeenan si baat hai
Ye zindagi dhuan hai
Kisne isse chua hai
Titliyon ki tarah shokh hai, ud jaye na
Ek tarfa safar ke, lab pe yahi dua hai
Kahi na ganvara moad koi mud jaye na
[Khuda na khasta
Khuda na khasta
Kudaya khair kare
Khuda na khasta]
O.. jeene ko jo ashiyaana biyaban hai
O.. palta usi ashiyaane me tufaan hai
Saaiyaan… saaiyaan…
Itni silwaten maazhi me padi
Jeene ki vajah unse thi badi
O… zaya baat kyon shikvon me karen
Adhuri hasraten dar pe hain khadi
O.. ye zindagi nasha hai
Takleef me maza hai
Iski fitrat me hi jang hai, chid jaye na
Ek tarfa safar ke, lab pe yahi dua hai
Kahin na ganvara moad koi mud jaye na
[Khuda na khasta
Khuda na khasta
Kudaya khair kare
Khuda na khasta] x 2
0 comments:
Post a Comment
Click to see the code!
To insert emoticon you must added at least one space before the code.